Zindagi Ka Rang Hi Kuchh Aur Hota


Wakt Tham Jata Agar Aaj To Achchha Hota,
Paas Ata Agar Wo Aaj To Achchha Hota ||
Hum Naa Jate Door Iskadar Unse ,
Ki Maan Jata Wo Meri Baat To Achchha Hota||
Rakhleta Hun Saare Gam Dil Men Chupa Ke Main,
Na Pata Chalti Unhe Ye Baat To Achchha Hota||
Ansu Bahne Ka Pata Na Kabhi Chalsake Unko
Roun Main Aur Hojati Jo Barsat To Achchha Hota||
Na Khota Main Is Kadar Ranjo Gham Ki Duniya Men,
Ki Thaam Leta Jo Wo Mera Hath To Achchha Hota||
Ekele Chalke Thak Gaya Hun Zindagi Ki Rahon Par,
Jo Wo Dedete Do Pal Bhi Mera Sath To Achchha Hota||
Meri Surat Se Jothi Is Kadar Nafrat Unko ,
Wo Milte Jab Bhi Mujhe, Bas Ho Jaati Raat To Acchha Hota||
Na Hota Koi Gila Zindagi Se Apni Mujhko,
Jo Sun Lete Woek Baar Meri Baat To Achchha Hota||
Aaj Kah Ke Bhi Unko Saari Baaten Gham Hota Hai,
Kash Ke Rok Leta Apne Jazbaat To Achchha Hota||
Zindagi Ka Rang Hi Kuchh Aur Hota Aaj Meri,
Ki Us Roj Sare Rah Na Hoti Mulakat To Achchha Hota||

                                                       Mritunjay Tiwari

Zindagi Ka Rang Hi Kuchh Aur Hota
Mritunjay Tiwari


Ishq Bhi Ek Gunah Hai


Ishq Ki Suruwat Nigaho Se Hoti Hai,
Saja Ki Suruwat Gunaho Se Hoti Hai!
Kahate Hai Ishq Bhi Ek Gunah Hai,
Jiski Suruwat 2 Begunahho Se Hoti Hai!!

Ishq Bhi Ek Gunah Hai

Kisamat Bhi Majboor Ho Jaye


Jindagi Jab Bhi Jab Kisi Mod Pe Rulane Lage,
Aap Inta Muskurao Ki Dard Bhi Muskurane Lage!
Nikale Na Aashu Aankho Se Aap Ke Kabhi,
Aur Kisamat Bhi Majboor Hokar Aapko Hasane Lage!!

Be Happy In Life