Zindagi Ka Rang Hi Kuchh Aur Hota


Wakt Tham Jata Agar Aaj To Achchha Hota,
Paas Ata Agar Wo Aaj To Achchha Hota ||
Hum Naa Jate Door Iskadar Unse ,
Ki Maan Jata Wo Meri Baat To Achchha Hota||
Rakhleta Hun Saare Gam Dil Men Chupa Ke Main,
Na Pata Chalti Unhe Ye Baat To Achchha Hota||
Ansu Bahne Ka Pata Na Kabhi Chalsake Unko
Roun Main Aur Hojati Jo Barsat To Achchha Hota||
Na Khota Main Is Kadar Ranjo Gham Ki Duniya Men,
Ki Thaam Leta Jo Wo Mera Hath To Achchha Hota||
Ekele Chalke Thak Gaya Hun Zindagi Ki Rahon Par,
Jo Wo Dedete Do Pal Bhi Mera Sath To Achchha Hota||
Meri Surat Se Jothi Is Kadar Nafrat Unko ,
Wo Milte Jab Bhi Mujhe, Bas Ho Jaati Raat To Acchha Hota||
Na Hota Koi Gila Zindagi Se Apni Mujhko,
Jo Sun Lete Woek Baar Meri Baat To Achchha Hota||
Aaj Kah Ke Bhi Unko Saari Baaten Gham Hota Hai,
Kash Ke Rok Leta Apne Jazbaat To Achchha Hota||
Zindagi Ka Rang Hi Kuchh Aur Hota Aaj Meri,
Ki Us Roj Sare Rah Na Hoti Mulakat To Achchha Hota||

                                                       Mritunjay Tiwari

Zindagi Ka Rang Hi Kuchh Aur Hota
Mritunjay Tiwari